
L♥️VE : ALFAAZ
Kuch to bayaan karti hai ,
Yeh berookhi unki ,
Yoon hi koi bewafa nahi hota,
Bahut majboor hota hai .
Mohabbat ka ek dastur hota hai,
Mohabbat aur bhe badhti hai,
Jo dilbar door hota hai,
Humne haaledil kya kah diya ,
Woh khafa khafa se rahne lage,
Bade adab se baat karte the jo,
Ab Be-andaazi se baat karne lage.
Woh zakhm de kar puchte hain,
Tumhara haal kysa hai,
Bada masoom quatil hai,
Yeh sawal kysa hai ?
Sab kuch loota diya unpar,
Yeh mere pyaar ki hadd thi,
Unke har jhooth ko sach mana,
Yeh mere aaitbaar ki hadd thi…